Janab Bashir Badr – Aansuon se dhuli khushi ki tarah

Janab Bashir Badr – Aansuon se dhuli khushi ki tarah

बशीर बद्र ग़ज़ल  – (आंसुओं से धूलि ख़ुशी कि तरह)

आंसुओं से धूलि ख़ुशी कि तरह
रिश्ते होते है शायरी कि तरह

हम खुदा बन के आयेंगे वरना
हम से मिल जाओ आदमी कि तरह

बर्फ सीने कि जैसे – जैसे गली
आँख खुलती गयी कली कि तरह

जब  कभी बादलों में घिरता हैं
चाँद लगता है आदमी कि तरह

किसी रोज़ किसी दरीचे से
सामने आओ रोशनी कि तरह

सब नज़र  का फरेब है वरना
कोई होता नहीं किसी कि तरह

ख़ूबसूरत  उदास  ख़ौफ़ज़दा
वोह भी है बीसवीं सदी कि तरह

जानता हूँ कि एक दिन मुझको
वो बदल देगा डायरी कि तरह

बशीर बद्र 

*************

Bashir Badr – Aansuon se dhuli khushi ki tarah

Aansuon se dhuli khushi ki tarah
Rishte hote hain shayri ki tarah.

Ham khuda ban key aayenge warna
Ham se mil jao aadmi ki tarah.

Barf seene ki jaise jaise gali
Aankh khulti gayi kali ki tarah.

Jab kabhi badlon me in ghirta hai
Chand lagta hai aadmi ki tarah.

Kisi rozan kisi dareeche se
Saamne aao roshni ki tarah.

Sab nazar ka fareb hai warna
Koi hota nahin kisi ki tarah.

Khubsoorat udaas Khaufzada
Woh bhi hai beeswin sadi ki tarah.

Janta hun ki eik din mujhko
wo badal dega dayri ki tarah.

Janab Bashir Badr

******************

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *