Janab Munawwar Rana – Har ek aawaaz Urdu ko fariyadi batati hain

Janab Munawwar Rana, मुनव्वर राणा ग़ज़ल – हर एक आवाज़ उर्दू को फरियादी बताती है

मुनव्वर राणा ग़ज़ल  – हर एक आवाज़ उर्दू को फरियादी बताती है

हर एक आवाज़ उर्दू को फरियादी बताती है
ये पगली फिर भी अब तक खुद को शहजादी बताती है

कई बातें मोहब्बत सबको बुनियादी बताती हैं
जो परदादी बताती थी वही दादी बताती हैं

जहाँ पिछले कई बरसों से काले नाग रहते हैं
वहाँ एक घोसला चिडियों का था दादी बताती है

अभी तक ये इलाका है रवादारी के कब्ज़े में
अभी फिरकापरस्ती* कम है आबादी बताती है

यहाँ वीरानियों की एक मुद्दत से हुकूमत है
यहाँ से नफरते गुजरी हैं बर्बादी बताती है

लहू कैसे बहाया जाए ये लीडर बताते हैं
लहू का जायका कैसा है ये खादी बताती है

गुलामी  ने अभी तक मुल्क का पीछा नहीं छोड़ा
हमे फिर कैद होना है ये आज़ादी बताती है

गरीबी  क्यूँ हमारे शहर से बाहर नहीं जाती
अमीर-ए-शहर के घर की हर एक शादी बताती है

मैं उन आँखों के मयखाने में थोड़ी देर बैठा था
मुझे दुनिया नशे का आज तक आदी बताती है

फिरकापरस्ती – साम्प्रदायिकता

मुनव्वर राना

*******

Munawwar Rana – Har ek aawaaz Urdu ko fariyadi batati hain.

Har ek aawaaz Urdu ko fariyadi batati hain.
Ye pagli phir bhi ab tak khud ko shehzaadi batati hain.

Kayi baate mohabbat sabko buniyadi batati hain.
Jo pardaadi batati thi wahi daadi batati hain.

Jahan pichhle kayi barson se kaale naag rehte hain
wahan ek ghosla chidhiyon ka tha daadi batati hain.

Abhi tak ye ilaaka hai rawadaari ke kabze mein
Abhi firka parasti kam hain aabaadi batati hain.

Yahan veeraniyon ki ek muddat se hukumat hain
Yahan se nafrate guzri hain barbaadi batati hain.

Lahoo kaise bahaya jaaye ye leader batate hain
Lahoo ka zsayka kaisa hai ye khaadi batati hai.

Gulaami ne abhi tak mulk ka peechha nahi chhoda,
Hume phir kaid hona hai ye aazaadi batati hai.

Gareebi kyun humare shehar se bahar nahi jaati,
Ameer-e-shehar ke ghar ki har ek shaadi batati hai.

Main un aankhon ke maikhane mein thodi der baitha tha,
Mujhe duniya nashe ka aaj tak aadi batati hai.

Munawwar Rana

************

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *