Javed Akhtar – Mujhko yakin hai sach kehti thi jo bhi ammi kehti thi

Javed Akhtar – Mujhko yakin hai sach kehti thi jo bhi ammi kehti thi

जावेद अख्तर – (मुझको यक़ीं है सच कहती थीं जो भी अम्मी कहती थीं)

मुझको यक़ीं है सच कहती थीं जो भी अम्मी कहती थीं
जब मेरे बचपन के दिन थे चाँद में परियाँ रहती थीं

इक ये दिन जब अपनों ने भी हमसे रिश्ता तोड़ लिया
इक वो दिन जब पेड़ की शाख़े बोझ हमारा सहती थीं

इक ये दिन जब लाखों ग़म और काल पड़ा है आँसू का
इक वो दिन जब एक ज़रा सी बात पे नदियाँ बहती थीं

इक ये दिन जब सारी सड़कें रूठी रूठी लगती हैं
इक वो दिन जब ‘आओ खेलें’ सारी गलियाँ कहती थीं

इक ये दिन जब जागी रातें दीवारों को तकती हैं
इक वो दिन जब शाख़ों की भी पलकें बोझल रहती थीं

इक ये दिन जब ज़हन में सारी अय्यारी की बातें हैं
इक वो दिन जब दिल में सारी भोली बातें रहती थीं

इक ये घर जिस घर में मेरा साज़-ओ-सामाँ रहता है
इक वो घर जिसमें मेरी बूढ़ी नानी रहती थीं

जावेद अख्तर

******************

Javed Akhtar – Mujhko yakin hai sach kehti thi jo bhi ammi kehti thi

Mujhko yakin hai sach kehti thi jo bhi ammi kehti thi
Jab mere bachpan ke din the chand mein pariyan rehti thi.

Ik ye din jab apnon ne bhi humse rishta tod liya
Ik wo din jab ped ki shaakhe bojh humara sehti thi.

Ik ye din jab laakhon gham aur kaal pada hai aansoo ka
Ik wo din jab ek zara si baat pe nadiyan behti thi.

Ik ye din jab saari sadke ruthi ruthi lagti hain
Ik wo din jab aao khele saari galiyan kehti thi

Ik ye din jab jaagi raate deewaron ko takti hain.
Ik wo din jab shaakhon ki bhi palken bojhil rehti thi

Ik ye din jab zehan mein saari ayyaari ki baatein hain
Ik wo din jab dil mein saari bholi baatein rehti thi

Ik ye ghar jis ghar mein mera saaz-o-saaman rehata hai
Ik wo ghar jisme meri budhi nani rehti thi.

Javed Akhtar

***********************

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *